kas bojh se jism TūTtā hai
itnā to kaḌā safar nahīñ thā
vo chaar qadam kā fāsla kyā
phir raah se be-ḳhabar nahīñ thā
lekin ye thakan ye laḌkhaḌāhaT
ye haal to umr bhar nahīñ thā
āġhāz-e-safar meñ jab chale the
kab ham ne koī diyā jalāyā
kab ahd-e-vafā kī baat kī thī
kab ham ne koī fareb khāyā
vo shaam vo chāñdnī vo ḳhushbū
manzil kā kise ḳhayāl aayā
tū mahv-e-suḳhan thī mujh se lekin
maiñ soch ke jaal bun rahā thā
mere liye zindagī taḌap thī
tere liye ġham bhī qahqaha thā
ab tujh se bichhaḌ ke sochtā huuñ
kuchh tū ne kahā thaa! kyā kahā thā