qalb o nazar kī zindagī dasht meñ sub.h kā samāñ
chashma-e-āftāb se nuur kī naddiyāñ ravāñ!
husn-e-azal kī hai numūd chaak hai parda-e-vajūd
dil ke liye hazār suud ek nigāh kā ziyāñ!
surḳh o kabūd badliyāñ chhoḌ gayā sahāb-e-shab!
koh-e-izam ko de gayā rañg-ba-rañg tailisāñ!
gard se paak hai havā barg-e-naḳhīl dhul ga.e
reg-e-navāh-e-kāzima narm hai misl-e-parniyāñ
aag bujhī huī idhar, TuuTī huī tanāb udhar
kyā ḳhabar is maqām se guzre haiñ kitne kārvāñ
aa.ī sadā-e-jibra.īl terā maqām hai yahī
ahl-e-firāq ke liye aish-e-davām hai yahī
kis se kahūñ ki zahr hai mere liye mai-e-hayāt
kohna hai baz-e-kā.ināt taaza haiñ mere vārdāt!
kyā nahīñ aur ġhaznavī kārgah-e-hayāt meñ
baiThe haiñ kab se muntazir ahl-e-haram ke somnāt!
zikr-e-arab ke soz meñ, fikr-e-ajam ke saaz meñ
ne arabī mushāhidāt, ne ajamī taḳhaiyyulāt
qāfilā-e-hijāz meñ ek husain bhī nahīñ
garche hai tāb-dār abhī gesū-e-dajla-o-furāt!
aql o dil o nigāh kā murshid-e-avvalīñ hai ishq
ishq na ho to shar-o-dīñ butkada-e-tasavvurāt!
sidq-e-ḳhalīl bhī hai ishq sabr-e-husain bhī hai ishq!
ma.arka-e-vajūd meñ badr o hunain bhī hai ishq!
āya-e-kā.enāt kā ma.anī-e-der-yāb tuu!
nikle tirī talāsh meñ qāfila-hā-e-rañg-o-bū!
jalvatiyān-e-madrasa kor-nigāh o murda-zauq
jalvatyān-e-maikada kam-talab o tahī-kadū!
maiñ ki mirī ġhazal meñ hai ātish-e-rafta kā surāġh
merī tamām sarguzisht kho.e huoñ kī justujū!
bād-e-sabā kī mauj se nash-o-numā-e-ḳhār-o-ḳhas!
mere nafas kī mauj se nashv-o-numā-e-ārzū!
ḳhūn-e-dil o jigar se hai merī navā kī parvarish
hai rag-e-sāz meñ ravāñ sāhib-e-sāz kā lahū!
fursat-e-kashmukash meñ iiñ dil be-qarār rā
yak do shikan zyāda kun gesū-e-tābdār rā
lauh bhī tuu, qalam bhī tuu, terā vajūd al-kitāb!
gumbad-e-ābgīna-rañg tere muhīt meñ habāb!
ālam-e-āb-o-ḳhāk meñ tere zuhūr se faroġh
zarra-e-reg ko diyā tū ne tulū-e-āftāb!
shaukat-e-sanjar-o-salīm tere jalāl kī numūd!
faqr-e-‘juned’-o-‘bāyazīd’ terā jamāl be-naqāb!
shauq tirā agar na ho merī namāz kā imaam
merā qayām bhī hijāb! merā sujūd bhī hijāb!
terī nigāh-e-nāz se donoñ murād pā ga.e
aql, ġhayāb o justujū ishq, huzūr o iztirāb!
tīra-o-tār hai jahāñ gardish-e-āftāb se!
tab-e-zamāna taaza kar jalva-e-be-hijāb se!
terī nazar meñ haiñ tamām mere guzishta roz o shab
mujh ko ḳhabar na thī ki hai ilm-e-naḳhīl be-rutab!
taaza mire zamīr meñ ma.arka-e-kuhan huaa!
ishq tamām mustafā! aql tamām bū-lahab!
gaah ba-hīla mī-barad, gaah ba-zor mī-kashad
ishq kī ibtidā ajab ishq kī intihā ajab!
ālam-e-soz-o-sāz meñ vasl se baḌh ke hai firāq
vasl meñ marg-e-ārzū! hijr meñ lazzat-e-talab!
ain-e-visāl meñ mujhe hausla-e-nazar na thā
garche bahāna-jū rahī merī nigāh-e-be-adab!
garmī-e-ārzū firāq! shorish-e-hā-o-hū firāq!
mauj kī justujū firāq! qatre kī aabrū firāq!