vaqt kī ret pe sūraj ne lahū thūkā phir
sā.ateñ koḌā ke dāġhoñ meñ nahā kar niklīñ
machhliyāñ lams ke hāthoñ meñ ghaḌī bhar na rukīñ
haDDiyāñ ḳhvāb ke kuttoñ ne chabā.īñ shab bhar
hijrateñ apne muqaddar meñ lahū-chehra haiñ
kaun ḳhamyāza bhugatne kī salāḳheñ chāTe
kaun zanjīr ke halqoñ meñ samundar bāñdhe
kaun lafzoñ ke mazāroñ pe na.e phuul rakhe
kaun sāyoñ ko talāshe yahāñ qindīl liye
abrha ka.aba kī dīvār ke saa.e meñ jale
kāñch kī chūḌiyāñ bajtī haiñ lahū kī tah meñ