thā koī yā nahīñ thā jo kuchh thā
dil ke andar kahīñ thā jo kuchh thā
tū bhī apne se ḳhush-gumāñ thā bahut
maiñ bhī apne ta.iiñ thā jo kuchh thā
shahr-e-ḳhūbāñ meñ vo vafā-dushman
ḳhūbsūrat-tarīñ thā jo kuchh thā
durd-e-mai thī ki talḳhī-e-hastī
jaam meñ tah-nashīñ thā jo kuchh thā
chhoḌ aa.e abas dar-e-jānāñ
yaar sab kuchh vahīñ thā jo kuchh thā
ishq iksīr thā diloñ ke liye
zahar thā añgbīñ thā jo kuchh thā
hosh aayā to ab khulā hai ‘farāz’
maiñ to kuchh bhī nahīñ thā jo kuchh thā