auroñ kā hai payām aur merā payām aur hai
ishq ke dard-mañd kā tarz-e-kalām aur hai
tā.ir-e-zer-e-dām ke naale to san chuke ho tum
ye bhī suno ki nāla-e-tā.ir-e-bām aur hai
aatī thī koh se sadā rāz-e-hayāt hai sakūñ
kahtā thā mor nā-tavāñ lutf-e-ḳhirām aur hai
jazb-e-haram se hai faroġh anjuman hijāz kā
us kā maqām aur hai us kā nizām aur hai
maut hai aish-e-jāvedāñ zauq-e-talab agar na ho
gardish-e-ādmī hai aur gardish-e-jām aur hai
sham-e-sahar ye kah ga.ī soz hai zindagī kā saaz
ġham-kada-e-numūd meñ shart-e-davām aur hai
baada hai nīm-ras abhī shauq hai nā-rasā abhī
rahne do ḳhum ke sar pe tum ḳhisht-e-kalīsiyā abhī