yun to pahle bhi hue us se kai bar juda

yuuñ to pahle bhī hue us se ka.ī baar judā lekin ab ke nazar aate haiñ kuchh āsār judā gar ġham-e-sūd-o-ziyāñ hai to Thahar jā ai jaañ ki isī moḌ pe yāroñ se hue yaar judā do ghaḌī us se raho duur to yuuñ lagtā hai jis tarah sāya-e-dīvār se dīvār judā ye judā.ī kī

Read More »

is qadar musalsal thin shiddaten judai ki

is qadar musalsal thiiñ shiddateñ judā.ī kī aaj pahlī baar us se maiñ ne bevafā.ī kī varna ab talak yuuñ thā ḳhvāhishoñ kī bārish meñ yā to TuuT kar royā yā ġhazal-sarā.ī kī taj diyā thā kal jin ko ham ne terī chāhat meñ aaj un se majbūran taaza āshnā.ī kī ho chalā thā jab

Read More »

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa

ranjish hī sahī dil hī dukhāne ke liye aa aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa kuchh to mire pindār-e-mohabbat kā bharam rakh tū bhī to kabhī mujh ko manāne ke liye aa pahle se marāsim na sahī phir bhī kabhī to rasm-o-rah-e-duniyā hī nibhāne ke liye aa kis kis ko batā.eñge

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā