jism ko ḳhvāhish kī dīmak khā rahī hai
nīm-vahshī lazzatoñ kī
TūTtī parchhā.iyāñ
aarzū kī āhanī dīvār se Takrā rahī haiñ
dard ke dariyā kināre
ajnabī yādoñ kī jal-pariyoñ kā
mela sā lagā hai
an-ginat pighle hue
rañgoñ kī chādar tan ga.ī hai
parbatoñ kī choTiyoñ se
reshmī ḳhushbū kī kirneñ phūTtī haiñ
ḳhvāb kī dahlīz suunī ho ga.ī
dhuup ke jañgal meñ sūraj kho gayā hai
bādaloñ kī mailī chādar par
terī āvāz kā
ghā.il sitāra
so gayā hai