shaguft-e-gul kī sadā meñ rañg-e-chaman meñ aao
koī bhī rut ho bahār ke pairahan meñ aao
koī safar ho tumhīñ ko manzil samajh ke jā.ūñ
koī masāfat ho tum mirī hī lagan meñ aao
kabhī to aisā bhī ho ki logoñ kī baat sun kar
mirī taraf tum raqābatoñ kī jalan meñ aao
vo jis ġhurūr aur naaz se tum chale ga.e the
kabhī usī tamkanat usī bāñkpan meñ aao
ye kyuuñ hamesha mirī talab hī tumheñ sadā de
kabhī to ḳhud bhī supurdagī kī thakan meñ aao
hazār muflis sahī magar ham saḳhī balā ke
kabhī to tum ahl-e-dard kī anjuman meñ aao
ham ahl-e-dil haiñ hamārī aqlīm harf kī hai
kabhī to jān-e-suḳhan dayār-e-suḳhan meñ aao
kabhī kabhī dūriyoñ se koī pukārtā hai
‘farāz’ jaanī ‘farāz’ pyāre vatan meñ aao