ai ki terā murġh-e-jāñ tār-e-nafas meñ hai asiir
ai ki terī ruuh kā taa.ir qafas meñ hai asiir
is chaman ke naġhma-pairāoñ kī āzādī to dekh
shahr jo ujḌā huā thā us kī ābādī to dekh
fikr rahtī thī mujhe jis kī vo mahfil hai yahī
sabr-o-istiqlāl kī khetī kā hāsil hai yahī
sañg-e-turbat hai mirā girvīda-e-taqrīr dekh
chashm-e-bātin se zarā is lauh kī tahrīr dekh
mudda.ā terā agar duniyā meñ hai ta.alīm-e-dīñ
tark-e-duniyā qaum ko apnī na sikhlānā kahīñ
vā na karnā firqa-bandī ke liye apnī zabāñ
chhup ke hai baiThā huā hañgāma-e-mahshar yahāñ
vasl ke asbāb paidā hoñ tirī tahrīr se
dekh koī dil na dukh jaa.e tirī taqrīr se
mahfil-e-nau meñ purānī dāstānoñ ko na chheḌ
rañg par jo ab na aa.eñ un fasānoñ ko na chheḌ
tū agar koī mudabbir hai to sun merī sadā
hai dilerī dast-e-arbāb-e-siyāsat kā asā
arz-e-matlab se jhijak jaanā nahīñ zebā tujhe
nek hai niyyat agar terī to kyā parvā tujhe
banda-e-momin kā dil bīm-o-riyā se paak hai
quvvat-e-farmāñ-ravā ke sāmne bebāk hai
ho agar hāthoñ meñ tere ḳhām-e-mojiz raqam
shīsha-e-dil ho agar terā misāl-e-jām-e-jam
paak rakh apnī zabāñ tilmīz-e-rahmānī hai tū
ho na jaa.e dekhnā terī sadā be-ābrū
sone vāloñ ko jagā de sher ke e.ajāz se
ḳhirman-e-bātil jalā de sho.ala-e-āvāz se