khol aañkh zamīñ dekh falak dekh fazā dekh!
mashriq se ubharte hue sūraj ko zarā dekh!
is jalva-e-be-parda ko parda meñ chhupā dekh!
ayyām-e-judā.ī ke sitam dekh jafā dekh!
betāb na ho mārka-e-bīm-o-rajā dekh!
haiñ tere tasarruf meñ ye bādal ye ghaTā.eñ
ye gumbad-e-aflāk ye ḳhāmosh fazā.eñ
ye koh ye sahrā ye samundar ye havā.eñ
thiiñ pesh-e-nazar kal to farishtoñ kī adā.eñ
ā.īna-e-ayyām meñ aaj apnī adā dekh!
samjhegā zamāna tirī āñkhoñ ke ishāre!
dekheñge tujhe duur se gardūñ ke sitāre!
nāpaid tire bahr-e-taḳhayyul ke kināre
pahuñcheñge falak tak tirī aahoñ ke sharāre
tāmīr-e-ḳhudī kar asar-e-āh-e-rasā dekh
ḳhurshīd-e-jahāñ-tāb kī zau tere sharar meñ
ābād hai ik taaza jahāñ tere hunar meñ
jachte nahīñ baḳhshe hue firdaus nazar meñ
jannat tirī pinhāñ hai tire ḳhūn-e-jigar meñ
ai paikar-e-gul koshish-e-paiham kī jazā dekh!
nālañda tire uud kā har taar azal se
tū jins-e-mohabbat kā ḳharīdār azal se
tū pīr-e-sanam-ḳhāna-e-asrār azal se
mehnat-kash o ḳhūñ-rez o kam-āzār azal se
hai rākib-e-taqdīr-e-jahāñ terī razā dekh!