tabūk āvāz de rahā hai
zamīñ se ab jo chipak rahegā
munāfiqoñ meñ shumār hogā
lahū ke sūraj kī laal āñhkeñ
udaas lamhoñ ko sūñghtī haiñ
khajūr pakne kā vaqt bhī hai
svāriyāñ aur safar kā sāmān saath le lo
ḳhudā baḌā hai
bahut baḌā hai
ḳhudā baḌā hai
tumhāre ūñToñ kī gardanoñ se
tamām duniyā meñ nuur phaile
tumhāre ghoḌoñ kī hinhināhaT
tumhārī manzil kī raah khole
bulandiyoñ kī taraf bulātā hai aaj koī
ye dhuup saa.e ke saath hogī
havā meñ hañstā nishān dekho
vo uḌte parcham kī shaan dekho
abhī abhī qāfila gayā hai
tabūk āvāz de rahā hai
maiñ apne ghoḌe kī baag moḌūñ
maiñ apne ghar kī taraf na jā.ūñ