ḳhuuñ patthar pe sarak aayā
gahrā niilā rañg havā meñ Duub gayā
jal-kanyā ke jism pe kaale saañp kā saaya lahrāyā
dariyā dariyā zahr chaḌhā
giilī ret pe dhuup ne apnā naam likhā
muTThī meñ machhlī kā aañsū suukh gayā
ghoḌoñ kī Tāpoñ se kamra guuñj uThā
ḳhargoshoñ kī āñkhoñ se sūraj nikle
phir dariyā kī naaf meñ kashtī Duub ga.ī
kāġhaz ke sahrā meñ paanī mat DhūñDo
ahrām ke darvāze kab khulte haiñ
hanger pe kapḌe kī laash laTaktī hai
parbat parbat nañgī ruuh bhaTaktī hai
mujh se ye pūchho logo maiñ kyā huuñ
zañg-ālūda shahr pe thūkne aayā huuñ