muhasara

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

mire ġhanīm ne mujh ko payām bhejā hai

ki halqa-zan haiñ mire gird lashkarī us ke

fasīl-e-shahr ke har burj har manāre par

kamāñ-ba-dast sitāda haiñ askarī us ke

vo barq lahar bujhā dī ga.ī hai jis kī tapish

vajūd-e-ḳhāk meñ ātish-fishāñ jagātī thī

bichhā diyā gayā bārūd us ke paanī meñ

vo jū-e-āb jo merī galī ko aatī thī

sabhī durīda-dahan ab badan-darīda hue

supurd-e-dār-o-rasan saare sar-kashīda hue

tamām suufī o sālik sabhī shuyūḳh o imaam

umīd-e-lutf pe aivān-e-kaj-kulāh meñ haiñ

mo.azzazīn-e-adālat bhī half uThāne ko

misāl-e-sā.il-e-mubarram nashista raah meñ haiñ

tum ahl-e-harf ki pindār ke sanā-gar the

vo āsmān-e-hunar ke nujūm sāmne haiñ

bas ik musāhib-e-darbār ke ishāre par

gadā-garān-e-suḳhan ke hujūm sāmne haiñ

qalandarān-e-vafā kī asaas to dekho

tumhāre saath hai kaun ās-pās to dekho

so shart ye hai jo jaañ kī amaan chāhte ho

to apne lauh-o-qalam qatl-gāh meñ rakh do

vagarna ab ke nishāna kamān-dāroñ kā

bas ek tum ho so ġhairat ko raah meñ rakh do

ye shart-nāma jo dekhā to elchī se kahā

use ḳhabar nahīñ tārīḳh kyā sikhātī hai

ki raat jab kisī ḳhurshīd ko shahīd kare

to sub.h ik nayā sūraj tarāsh laatī hai

so ye javāb hai merā mire adū ke liye

ki mujh ko hirs-e-karam hai na ḳhauf-e-ḳhamyāza

use hai satvat-e-shamshīr par ghamanD bahut

use shikoh-e-qalam kā nahīñ hai andāza

mirā qalam nahīñ kirdār us muhāfiz kā

jo apne shahr ko mahsūr kar ke naaz kare

mirā qalam nahīñ kaasa kisī subuk-sar kā

jo ġhāsiboñ ko qasīdoñ se sarfarāz kare

mirā qalam nahīñ auzār us naqab-zan kā

jo apne ghar kī hī chhat meñ shigāf Dāltā hai

mirā qalam nahīñ us duzd-e-nīm-shab kā rafīq

jo be-charāġh gharoñ par kamand uchhāltā hai

mirā qalam nahīñ tasbīh us maballiġh kī

jo bandagī kā bhī har dam hisāb rakhtā hai

mirā qalam nahīñ mīzān aise aadil kī

jo apne chehre pe dohrā naqāb rakhtā hai

mirā qalam to amānat hai mere logoñ kī

mirā qalam to adālat mire zamīr kī hai

isī liye to jo likkhā tapāk-e-jāñ se likhā

jabhī to loch kamāñ kā zabān tiir kī hai

maiñ kaT girūñ ki salāmat rahūñ yaqīñ hai mujhe

ki ye hisār-e-sitam koī to girā.egā

tamām umr kī īzā-nasībiyoñ kī qasam

mire qalam kā safar rā.egāñ na jā.egā

sarisht-e-ishq ne uftādgī nahīñ paa.ī

tū qadd-e-sarv na biinī o sāya-paimā.ī

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: