roz jab dhuup pahāḌoñ se utarne lagtī
koī ghaTtā huā baḌhtā huā bekal saaya
ek dīvār se kahtā ki mire saath chalo
aur zanjīr-e-rifāqat se gurezāñ dīvār
apne pindār ke nashshe meñ sadā istāda
ḳhvāhish-e-hamdam-e-derīna pe hañs detī thī
kaun dīvār kisī saa.e ke ham-rāh chalī
kaun dīvār hamesha magar istāda rahī
vaqt dīvār kā sāthī hai na saa.e kā rafīq
aur ab sañg-o-gil-o-ḳhisht ke malbe ke tale
usī dīvār kā pindār hai reza reza
dhuup niklī hai magar jaane kahāñ hai saaya