kaalī ainak lagā.e ghūmte rahnā sūraj meñ saḌkoñ par hoTaloñ meñ
theateroñ meñ masjidoñ meñ dukānoñ meñ railway platform par
bhaTiyār galiyoñ meñ shāmil honā bujhe bujhe chehroñ vaalī bhiiḌ meñ tākte rahnā
safed dīvāroñ ko akele lāya.anī hai sab kuchh aur jo dikhā.ī detā hai
vo nahīñ hai phir bhī dikhā.ī detā hai koī farq nahīñ paḌtā paañv haiñ jurābeñ
na hone se life aur Time na paḌhne se yahī kyā kam hai ki sub.h se
shaam tak jam.a karte haiñ lafzoñ ko radio sunte haiñ aur dekhte haiñ mire
hue kabūtar kī aañkh schōl se lauTte hue bachche sharāb kī jhiil meñ tairte
shikāre pachās se kam sher kī ġhazal nahīñ likhte firāq aaj bhī qabā.ilī
kamar se bāñdhe phirte haiñ chāleñ gaz kī shalvār kyā hotā hai naam se
yā sher kahne se yā din-bhar ūñghte rahne se yā kitābeñ sūñghne se
taash khelne kā maza hī aur hai ahamadabād ho yā lahore har jagah hotā hai
sūraj ghar baiThe gañgā hai bhaa.ī congress meñ phuuT paḌe yā saat
hazār insān maar diye jaa.eñ bhūke uThte haiñ har sub.h bistar se kisī ne
dekhe haiñ baiket aur picasso kabaDDī ke maidān meñ yā gambarsong ko
istirī karte hue nickson se le kar murār-jī tak koī bhī rok na sakā
chhīñk aur khāñsī ab āñkheñ khol dījiye hazrat dekhiye puurā
america chhīñk rahā hai khāñs rahā hai idhar dekhiye ye hindostān
bhī chhī.k rahā hai khāñs rahā hai khāñs rahā hai chhī.k rahā hai
kahāñ se shurūa huī hai tārīḳh aur kahāñ jā kar ruknā hai logoñ ko
udaas rahtī haiñ hāmila aurteñ bas aur cinema kī qatār meñ gher rakkhī hai
zamīn bhikāriyoñ ne aur mañgāo charas aur gāñjā phir bhī alag karnā mushkil
hai purānī ko new-delhi se lāshoñ ko dekh kar mahfūz nahīñ hote tum kaise
aadmī ho kahāñ ga.iiñ vo tavā.ifeñ kahāñ ga.e vo qavvāl ma.anī to har lafz
meñ maujūd hai lekin