ḳhudī kā sirr-e-nihāñ lā-ilāha-illallāh
ḳhudī hai teġh fasāñ lā-ilāha-illallāh
ye daur apne barāhīm kī talāsh meñ hai
sanam-kada hai jahāñ lā-ilāha-illallāh
kiyā hai tū ne matā-e-ġhurūr kā saudā
fareb-e-sūd-o-ziyāñ lā-ilāha-illallāh
ye māl-o-daulat-e-duniyā ye rishta o paivand
butān-e-vahm-o-gumāñ lā-ilāha-illallāh
ḳhirad huī hai zamān o makāñ kī zunnārī
na hai zamāñ na makāñ lā-ilāha-illallāh
ye naġhma fasl-e-gul-o-lāla kā nahīñ pāband
bahār ho ki ḳhizāñ lā-ilāha-illallāh
agarche but haiñ jamā.at kī āstīnoñ meñ
mujhe hai hukm-e-azāñ lā-ilāha-illallāh