pattharoñ par jamī huī nazreñ
gāḌhā sayyāl lamha lamha ravāñ
phailtī bū fazā meñ, naak saḌānñdh
āsmāñ se baras rahe meñDak
girte haiñ gir ke phir sambhalte haiñ
gāḌhe sayyāl meñ phudakte haiñ
aur sūraj kī surḳh ā.ankhoñ meñ
kaa.ī kī parteñ jamtī jaatī haiñ
band darvāze par sabā dastak
koī aatā na koī jaatā hai
band darvāza muskurātā hai