kahin wo meri mohabbat mein ghul raha hi na ho

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

kahīñ vo merī mohabbat meñ ghul rahā na ho

ḳhudā kare use ye tajraba huā na ho

supurdagī mirā me.aar to nahīñ lekin

maiñ sochtā huuñ tire ruup meñ ḳhudā na ho

maiñ tujh ko ke bhī kis shaḳhs talāsh meñ huuñ

mire ḳhayāl meñ koī tire sivā na ho

vo uzr kar ki mire dil ko bhī yaqīñ aa.e

vo giit ki jo maiñ ne kabhī sunā na ho

vo baat kar jise phailā ke maiñ ġhazal kah luuñ

sunā.ūñ sher jo maiñ ne abhī likhā na ho

sahar ko dil taraf ye dhuāñ kaisā hai

kahīñ ye merā diyā rāt-bhar jalā na ho

ho kaise jabr-e-mashiyat ko is duā lihāz

jo ek baar mile phir kabhī judā na ho

ye abr-o-kisht duniyā meñ kaise mumkin hai

ki umr-bhar vafā koī sila na ho

mirī nigāh meñ vo peḌ bhī hai bad-kirdār

ladā huā ho jo phal se magar jhukā na ho

jo dasht dasht se phūloñ bhiik māñgtā thā

kahīñ vo toḌ ke kashkol mar gayā na ho

tulū-e-sub.h ne chamkā diye haiñ abr ke chaak

‘nadīm’ ye mirā dāmān-e-mudda.ā na ho

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: