hamārī chāhatoñ kī buz-dilī thī
varna kyā hotā
agar ye shauq ke mazmūñ
vafā ke ahd-nāme
aur diloñ ke marsiye
ik dūsre ke naam kar dete
ziyāda se ziyāda
chāhateñ bad-nām ho jātīñ
hamārī dostī kī dāstāneñ aam ho jātīñ
to kyā hotā
ye ham jo ziist ke har ishq meñ sachchā.iyāñ socheñ
ye ham jin kā asāsa tishnagi,i tanhā.iyāñ socheñ
ye tahrīreñ
hamārī ārzū-mandī kī tahrīreñ
baham paiavastagī aur ḳhvāb paivandagī kī tahrīreñ
firāq o vasl o mahrūmī o ḳhursandī kī tahrīreñ
ham in par munfa.il kyuuñ huuñ
ye tahrīreñ
agar ik dūsre ke naam ho jaa.eñ
to kyā is se hamāre fan ke rasiyā
sher ke maddāh
ham par tohmateñ dharte
hamārī hamdamī par tanz karte
aur ye bāteñ
aur ye afvāheñ
kisī piilī nigārish meñ
hamesha ke liye marqūm hū jātīñ
hamārī hastiyāñ mazmūm ho jātīñ
nahīñ aisā na hotā
aur agar bil-farz hotā bhī
to phir ham kyā
subuk-sārān-e-shahr-e-harf kī chāloñ se Darte haiñ
sagān-e-kūcha-e-shohrat ke ġhauġhā
kaale bāzāroñ ke dallāloñ se Darte haiñ
hamāre harf jazboñ kī tarah
sachche haiñ, pākīza haiñ, zinda haiñ
balā se ham agar maslūb ho jaate
ye saudā kyā burā thā
gar hamārī qabr ke katbe
tumhāre aur hamāre naam se mansūb ho jāte!