faqīh-e-shahr kī majlis se kuchh bhalā na huā
ki us se mil ke mizāj aur kāfirāna huā
abhī abhī vo milā thā hazār bāteñ kiiñ
abhī abhī vo gayā hai magar zamāna huā
vo raat bhuul chuko vo suḳhan na doharāo
vo raat ḳhvāb huī vo suḳhan fasāna huā
kuchh ab ke aise kaḌe the firāq ke mausam
tirī hī baat nahīñ maiñ bhī kyā se kyā na huā
hujūm aisā ki rāheñ nazar nahīñ ātīñ
nasīb aisā ki ab tak to qāfila na huā
shahīd-e-shab faqat ahmad-‘farāz’ hī to nahīñ
ki jo charāġh-ba-kaf thā vahī nishāna huā