ab na zanjīr khaḌakne kī sadā aa.egī
zindāñ mahkegā na ab bād-e-sabā aa.egī
ek ek phuul ke murjhā.e hue chehre par
rañg bikhreñge na khiltā huā mausam koī
ḳhaar ke siine meñ chubhtā huā phir ġham koī
āñdhī phir tez hai tāroñ ko bujhā de na kahīñ
raat ghanghor hai sūraj ko chhupā de na kahīñ
aur ab shola-e-jāñ se bhī na uTThegā dhuāñ
tīrgī meñ tirī sāñsoñ kā ujālā bhī kahāñ
chashm-e-nargis meñ lahū-rañg hai shabnam shāyad
aur sayyād kā dāman bhī to hai nam shāyad