pul ke us sire se aatī huī
añgusht chehre vaalī bad-sūrat aurat ke
laTke hue pistānoñ par
bhinbhinātī makkhiyoñ kī marī huī āñkhoñ meñ
sūkhī nadī ke adh-mue meñDakoñ kī sarsarāhaT
lañgḌe bhikārī kī pasliyoñ ke darmiyān
hāñptī ikāniyoñ kī
kashkolī khāñsī kī mailī shiknoñ meñ
reñgte bichchhūoñ ke saa.e
basoñ Taxiyoñ aur rickshawāoñ ke phisalte pahiyoñ tale
dauḌtī saḌkoñ kī riiḌh kī haDDiyoñ meñ
bikhartī huī tīrgī kā khurdurā lams
merī khiḌkī kī
chaukor udāsī ke piile dāñtoñ par
jamī huī pīḌhiyoñ ko khurachne kī
ek aur nākām koshish kī
siyāhiyoñ meñ gum ho jaate haiñ