guzar ga.e ka.ī mausam ka.ī ruteñ badlīñ
udaas tum bhī ho yaaro udaas ham bhī haiñ
faqat tumhīñ ko nahīñ rañj-e-chāk-dāmānī
ki sach kaheñ to darīda-libās ham bhī haiñ
tumhāre baam kī sham.eñ bhī tābnāk nahīñ
mire falak ke sitāre bhī zard zard se haiñ
tumhāre ā.ina-ḳhāne bhī zañg-ālūda
mire surāhī o sāġhar bhī gard gard se haiñ
na tum ko apne ḳhad-o-ḳhāl hī nazar aa.eñ
na maiñ ye dekh sakūñ jaam meñ bharā kyā hai
basāratoñ pe vo jaale paḌe ki donoñ ko
samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki mājrā kyā hai
na sarv meñ vo ġhurūr-e-kashīda-qāmatī hai
na qumriyoñ kī udāsī meñ kuchh kamī aa.ī
na khil sake kisī jānib mohabbatoñ ke gulāb
na shāḳh-e-amn liye fāḳhta koī aa.ī
tumheñ bhī zid hai ki mashq-e-sitam rahe jaarī
hameñ bhī naaz ki jaur-o-jafā ke aadī haiñ
tumheñ bhī zo.am mahā-bhārtā laḌī tum ne
hameñ bhī faḳhr ki ham karbalā ke aadī haiñ
sitam to ye hai ki donoñ ke marġh-zāroñ se
havā-e-fitna o bū-e-fasād aatī hai
alam to ye hai ki donoñ ko vahm hai ki bahār
adū ke ḳhuuñ meñ nahāne ke ba.ad aatī hai
to ab ye haal huā is darindagī ke sabab
tumhāre paañv salāmat rahe na haath mire
na jiit jiit tumhārī na haar haar mirī
na koī saath tumhāre na koī saath mire
hamāre shahroñ kī majbūr o be-navā maḳhlūq
dabī huī hai dukhoñ ke hazār Dheroñ meñ
ab un kī tīra-nasībī charāġh chāhtī hai
jo log nisf sadī tak rahe añdheroñ meñ
charāġh jin se mohabbat kī raushnī phaile
charāġh jin se diloñ ke dayār raushan hoñ
charāġh jin se ziyā amn-o-āshtī kī mile
charāġh jin se diye be-shumār raushan huuñ
tumhāre des meñ aayā huuñ dosto ab ke
na sāz-o-naġhma kī mahfil na shā.irī ke liye
agar tumhārī anā hī kā hai savāl to phir
chalo maiñ haath baḌhātā huuñ dostī ke liye