ye dair-e-kuhan kya hai ambar-e-KHas-o-KHashak

ye dair-e-kuhan kyā hai ambār-e-ḳhas-o-ḳhāshāk mushkil hai guzar is meñ be-nāla-e-ātishnāk naḳhchīr-e-mohabbat kā qissa nahīñ tūlānī lutf-e-ḳhalish-e-paikāñ āsūdgi-e-fitrāk khoyā gayā jo matlab haftād o do millat meñ samjhegā na tū jab tak be-rañg na ho idrāk ik shar-e-musalmānī ik jazb-e-musalmānī hai jazb-e-musalmānī sirr-e-falak-ul-aflāk ai rahrav-e-farzāna be-jazb-e-musalmānī ne rāh-e-amal paidā ne shāḳh-e-yaqīñ namnāk ramzīñ haiñ mohabbat

Read More »

na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi

na ho tuġhyān-e-mushtāqī to maiñ rahtā nahīñ baaqī ki merī zindagī kyā hai yahī tuġhyān-e-mushtāqī mujhe fitrat navā par pai-ba-pai majbūr kartī hai abhī mahfil meñ hai shāyad koī dard-āshnā baaqī vo ātish aaj bhī terā nasheman phūñk saktī hai talab sādiq na ho terī to phir kyā shikva-e-sāqī na kar afrañg kā andāza us

Read More »

raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi

rahā na halqa-e-sūfī meñ soz-e-mushtāqī fasāna-hā-e-karāmāt rah ga.e baaqī ḳharāb koshak-e-sultān o ḳhānqāh-e-faqīr fuġhāñ ki taḳht o musallā kamāl-e-razzāqī karegī dāvar-e-mahshar ko sharmsār ik roz kitāb-e-sūfī-o-mullā kī sāda-aurāqī na chīnī o arabī vo na ruumī o shāmī samā sakā na do aalam meñ mard-e-āfāqī mai-e-shabāna kī mastī to ho chukī lekin khaTak rahā hai diloñ

Read More »

ye kaun ghazal-KHwan hai pur-soz o nashat-angez

ye kaun ġhazal-ḳhvāñ hai pur-soz o nashāt-añgez andesha-e-dānā ko kartā hai junūñ-āmez go faqr bhī rakhtā hai andāz-e-mulūkāna nā-puḳhta hai parvezī be-saltanat-e-parvez ab hujra-e-sūfī meñ vo faqr nahīñ baaqī ḳhūn-e-dil-e-sherāñ ho jis faqr kī dastāvez ai halqa-e-darveshāñ vo mard-e-ḳhudā kaisā ho jis ke garebāñ meñ hañgāma-e-rustā-ḳhez jo zikr kī garmī se sho.ale kī tarah raushan

Read More »

garm-e-fughan hai jaras uTh ki gaya qafila

garm-e-fuġhāñ hai jaras uTh ki gayā qāfila vaa.e vo rah-rau ki hai muntazir-e-rāhila terī tabī.at hai aur terā zamāna hai aur tere muāfiq nahīñ ḳhānqahī silsila dil ho ġhulām-e-ḳhirad yā ki imām-e-ḳhirad sālik-e-rah hoshiyār saḳht hai ye marhala us kī ḳhudī hai abhī shām-o-sahar meñ asiir gardish-e-daurāñ kā hai jis kī zabāñ par gila tere

Read More »

kamal-e-tark nahin aab-o-gil se mahjuri

kamāl-e-tark nahīñ āb-o-gil se mahjūrī kamāl-e-tark hai tasḳhīr-e-ḳhākī o nuurī maiñ aise faqr se ai ahl-e-halqa baaz aayā tumhārā faqr hai be-daulatī o rañjūrī na faqr ke liye mauzūñ na saltanat ke liye vo qaum jis ne gañvā.ī matā-e-taimūrī sune na sāqi-e-mehvash to aur bhī achchhā ayyār-e-garmi-e-sohbat hai harf-e-māzūrī hakīm o aarif o suufī tamām

Read More »

tha jahan madrasa-e-shiri-o-shahanshahi

thā jahāñ madrasa-e-shīrī-o-shāhanshāhī aaj in ḳhānqahoñ meñ hai faqat rūbāhī nazar aa.ī na mujhe qāfila-sālāroñ meñ vo shabānī ki hai tamhīd-e-kalīmul-lāhī lazzat-e-naġhma kahāñ murġh-e-ḳhush-alhāñ ke liye aah us baaġh meñ kartā hai nafas kotāhī ek sarmastī o hairat hai sarāpā tārīk ek sarmastī o hairat hai tamām āgāhī sifat-e-barq chamaktā hai mirā fikr-e-buland ki bhaTakte

Read More »

ye huryan-e-farangi dil o nazar ka hijab

ye hūryān-e-farañgī dil o nazar kā hijāb bahisht-e-maġhrabiyāñ jalva-hā-e-pā-ba-rikāb dil o nazar kā safīna sambhāl kar le jā mah o sitāra haiñ behr-e-vajūd meñ girdāb jahān-e-saut-o-sadā meñ samā nahīñ saktī latīfa-e-azalī hai fuġhān-e-chañg-o-rabāb sikhā diye haiñ use sheva-hā-e-ḳhānqahī faqīh-e-shahr ko suufī ne kar diyā hai ḳharāb vo sajda rūh-e-zamīñ jis se kaañp jaatī thī usī

Read More »

hua na zor se uske koi gareban chaak

huā na zor se us ke koī garebāñ chaak agarche maġhribiyoñ kā junūñ bhī thā chālāk mai-e-yaqīñ se zamīr-e-hayāt hai pur-soz nasīb-e-madrasa yā rab ye āb-e-ātish-nāk urūj-e-ādam-e-ḳhākī ke muntazir haiñ tamām ye kahkashāñ ye sitāre ye nīl-gūñ aflāk yahī zamāna-e-hāzir kī kā.enāt hai kyā dimāġh raushan o dil tiira o nigah bebāk tū be-basar ho

Read More »

taza phir danish-e-hazir ne kiya sehr-e-qadim

taaza phir dānish-e-hāzir ne kiyā sehr-e-qadīm guzar is ahd meñ mumkin nahīñ be-chob-e-kalīm aql ayyār hai sau bhes banā letī hai ishq bechāra na mullā hai na zāhid na hakīm aish-e-manzil hai ġharībān-e-mohabbat pe harām sab musāfir haiñ ba-zāhir nazar aate haiñ muqīm hai garāñ-sair ġham-e-rāhila-o-zād se tū koh o dariyā se guzar sakte haiñ

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā