hum din ke payami hain magar kushta-e-shab hain

ham din ke payāmī haiñ magar kushta-e-shab haiñ is haal meñ bhī raunaq-e-ālam kā sabab haiñ zāhir meñ ham insān haiñ miTTī ke khilaune bātin meñ magar tund anāsir kā ġhazab haiñ haiñ halqa-e-zanjīr kā ham ḳhanda-e-jāved zindāñ meñ basā.e hue ik shahr-e-tarab haiñ chaTkī huī ye husn-e-gurezāñ kī kalī hai yā shiddat-e-jazbāt se khulte

Read More »

shab-e-firaq ko jab muzhda-e-sahar aaya

shab-e-firāq ko jab muzhda-e-sahar aayā to ik zamāna tirā muntazir nazar aayā tamām-umr kī sahrā-navardiyoñ ke ba.ad tirā maqām sar-e-gard-e-rahguzar aayā ye kaun ābla-pā is taraf se guzrā hai nuqūsh-e-pā meñ jo phūloñ ke rañg bhar aayā kise majāl ki nazzāra-e-jamāl kare is anjuman meñ jo aayā ba-chashm-e-tar aayā tirī talab ke ghane jañgaloñ meñ

Read More »

hum un ke naqsh-e-qadam hi ko jada karte rahe

ham un ke naqsh-e-qadam hī ko jaada karte rahe jo gumrahī ke safar kā i.aada karte rahe ka.ī savāb to nisyāñ meñ ho ga.e ham se gunāh kitne hī ham be-irāda karte rahe na sirf ahl-e-ḳhirad hī kā ham pe ehsāñ hai ki ahmaqoñ se bhī ham istifāda karte rahe kuchh is salīqe se guzrī

Read More »

main hun ya tu hai KHud apne se gurezan jaise

maiñ huuñ yā tū hai ḳhud apne se gurezāñ jaise mare aage koī saaya hai ḳhirāmāñ jaise tujh se pahle to bahāroñ kā ye andāz na thā phuul yuuñ khilte haiñ jaltā ho gulistāñ jaise yuuñ tirī yaad se hotā hai ujālā dil meñ chāñdnī meñ chamak uThtā hai bayābāñ jaise dil meñ raushan haiñ

Read More »

main wo shaer hun jo shahon ka sana-KHwan na hua

maiñ vo shā.er huuñ jo shāhoñ kā sanā-ḳhvāñ na huā ye hai vo jurm jo mujh se kisī unvāñ na huā is gunah par mirī ik umr añdhere meñ kaTī mujh se is maut ke mele meñ charāġhāñ na huā kal jahāñ phuul khile jashn hai zaḳhmoñ kā vahāñ dil vo gulshan hai ujaḌ kar

Read More »

yun to pahne hue pairahan-e-Khaar aata hun

yuuñ to pahne hue pairāhan-e-ḳhār aatā huuñ ye bhī dekho ki ba-saudā-e-bahār aatā huuñ arsh se jab nahīñ uThtī mirī fariyād kī guuñj maiñ tujhe dil ke ḳharābe meñ pukār aatā huuñ mujhe aatā hī nahīñ bas meñ kisī ke aanā aa.uuñ bhī to ba-kaf-e-ābla-dār aatā huuñ tū yahāñ zer-e-ufuq chand ghaḌī sustā le maiñ

Read More »

hota nahin zauq-e-zindagi kam

hotā nahīñ zauq-e-zindagī kam buniyād-e-hayāt hai tirā ġham ehsās-e-jamāl ubhar rahā hai jab se tirā iltifāt hai kam tere hī ġhamoñ ne mujh ko baḳhshī kauñde kī lapak ġhazāl kā ram sāmān-e-sabāt haiñ safar meñ ummīd kī pech raah ke ḳham sham.oñ kī laveñ haiñ yā zabāneñ aañsū haiñ ki ehtijāj-e-paiham anjum se khilā.egī shagūfe

Read More »

yun be-kar na baiTho din bhar yun paiham aansu na bahao

yuuñ be-kār na baiTho din bhar yuuñ paiham aañsū na bahāo itnā yaad karo ki bil-āḳhir āsānī se bhuul bhī jaao saare raaz samjho lo lekin ḳhud kyuuñ un ko lab par laao dhokā dene vaalā ro de aisī shaan se dhokā khaao zulmat se mānūs haiñ āñkheñ chāñd ubhrā to muñd jā.eñgī bāloñ ko

Read More »

shuur mein kabhi ehsas mein basaun use

shu.ūr meñ kabhī ehsās meñ basā.ūñ use magar maiñ chaar taraf be-hijāb pā.ūñ use agarche fart-e-hayā se nazar na aa.uuñ use vo ruuTh jaa.e to sau tarah se manā.ūñ use tavīl hijr kā ye jabr hai ki sochtā huuñ jo dil meñ bastā hai ab haath bhī lagā.ūñ use use bulā ke milā umr bhar

Read More »

tang aa jate hain dariya jo kuhistanon mein

tañg aa jaate haiñ dariyā jo kuhistānoñ meñ saañs lene ko nikal jaate haiñ maidānoñ meñ ḳhair ho dasht-e-navardān-e-mohabbat kī ab shahr baste chale jaate haiñ bayābānoñ meñ ab to le letā hai bātin se yahī kaam junūñ nazar aate nahīñ ab chaak garebānoñ meñ maal chorī kā jo taqsīm kiyā choroñ ne nisf to

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā