musalsal yaad aati hai chamak chashm-e-ghazalan ki

musalsal yaad aatī hai chamak chashm-e-ġhazālāñ kī akelī zaat hai aur raat hai jañgal bayābāñ kī zarā dekho havā-e-sub.h kaise khīñch laa.ī hai akelī pañkhuḌī meñ dilkashī saare gulistāñ kī inhīñ galiyoñ meñ khulte the mulāqātoñ ke darvāze inhīñ galiyoñ meñ chaltī haiñ havā.eñ shām-e-hijrāñ kī koī zarre ko zarra hī samajh kar chhoḌ detā

Read More »

kis raqs-e-jaan-o-tan mein mera dil nahin raha

kis raqs-e-jān-o-tan meñ mirā dil nahīñ rahā go maiñ kisī julūs meñ shāmil nahīñ rahā har chand terī ruuh kā mahram rahā huuñ maiñ lekin tire badan se bhī ġhāfil nahīñ rahā tujh se koī gila hai na terī vafā se hai maiñ hī tire ḳhayāl ke qābil nahīñ rahā bāhar chahak rahī ho ki

Read More »

malal-e-dil se ilaj-e-gham-e-zamana kiya

malāl-e-dil se ilāj-e-ġham-e-zamāna kiyā ziyā-e-mehr se raushan charāġh-e-ḳhāna kiyā sahar huī to vo aa.e laToñ ko chhaTkāte zarā ḳhayāl-e-pareshāni-e-sabā na kiyā hazār shukr ki ham maslahat-shanās na the ki ham ne jis se kiyā ishq vālehāna kiyā vo jis ke lutf meñ begānagī bhī shāmil thī usī ne aaj guzar dil se mahramāna kiyā vo

Read More »

TuT gaya hawa ka zor sail-e-bala utar gaya

TuuT gayā havā kā zor sail-e-balā utar gayā sañg-o-kulūḳh rah ga.e lahar ga.ī bhañvar gayā vo bhī ajiib daur thā dil kā chalan hī aur thā shaam huī to jī uThā sub.h huī to mar gayā kis ke bañdhe hue the ham dāman-e-māhtāb se ham bhī udhar udhar ga.e chāñd jidhar jidhar gayā kitne rafīq-o-ham-safar

Read More »

dast-e-sumum dast-e-saba kyun nahin hua

dast-e-sumūm dast-e-sabā kyuuñ nahīñ huā dar mausam-e-bahār kā vā kyuuñ nahīñ huā zālim the varā-e-hisāb-o-kitāb kyā un par nuzūl-e-qahr-e-ḳhudā kyuuñ nahīñ huā un ke saroñ pe kyuuñ nahīñ TūTīñ qayāmateñ an ke gharoñ meñ hashr bapā kyuuñ nahīñ huā gūñjī na kyuuñ falak se koī āyat-e-ġhazab ye gumbad-e-sukūt sadā kyuuñ nahīñ huā dil meñ haiñ

Read More »

monis-e-dil koi naghma koi tahrir nahin

monis-e-dil koī naġhma koī tahrīr nahīñ harf meñ ras nahīñ āvāz meñ tāsīr nahīñ aa hī jaatā hai ujaḌtī huī duniyā kā ḳhayāl bāvar aayā ki tirā dard hama-gīr nahīñ hijr ik vaqfa-e-bedār hai do nīndoñ meñ vasl ik ḳhvāb hai jis kī koī ta.abīr nahīñ mere atrāf ye zanjīr-r-alā.eq kaisī zindagī jurm sahī qābil-e-tāzīr

Read More »

chamak-damak pe na jao khari nahin koi shai

chamak-damak pe na jaao kharī nahīñ koī shai sivā.e shāḳh-e-tamannā harī nahīñ koī shai dil-e-gudāz o lab-e-ḳhushk o chashm-e-tar ke baġhair ye ilm o fazl ye dānish-varī nahīñ koī shai to phir ye kashmakash-e-dil kahāñ se aa.ī hai jo dil-giraftagī o dilbarī nahīñ koī shai ajab haiñ vo ruḳh o gesū ki sāmne jin ke

Read More »

udas kar ke dariche nae makanon ke

udaas kar ke darīche na.e makānoñ ke sitāre Duub ga.e sabz āsmānoñ ke ga.ī vo shab jo kabhī ḳhatm hī na hotī thī havā.eñ le ga.iiñ aurāq dāstānoñ ke har aan barq chamaktī hai dil dhaḌaktā hai mirī qamīs pe tinke haiñ āshiyānoñ ke tire sukūt se vo raaz bhī hue ifshā ki jin ko

Read More »

phir wahi raat phir wahi aawaz

phir vahī raat phir vahī āvāz mere dil kī thakī huī āvāz kahīñ bāġh-e-naḳhust se aa.ī kisī koyal kī dukh-bharī āvāz abhī chhāyā nahīñ hai sannāTā aa rahī hai koī koī āvāz phaḌphaḌāhaT kisī parinde kī kisī koñpal kī phūTtī āvāz abhī mahfūz hai tirā chehra abhī bhūlī nahīñ tirī āvāz mere bistar pe aa

Read More »

tere diwane har rang rahe tere dhyan ki jot jagae hue

tire dīvāne har rañg rahe tire dhyān kī jot jagā.e hue kabhī nithre suthre kapḌoñ meñ kabhī añg bhabhūt ramā.e hue us raah se chhup chhup kar guzrī rut sabz sunahre phūloñ kī jis raah pe tum kabhī nikle the ghabrā.e hue sharmā.e hue ab tak hai vahī aalam dil kā vahī rañg-e-shafaq vahī tez

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā