tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi

thā abas tark-e-ta.alluq kā irāda yuuñ bhī ishq zinda nahīñ rahtā hai ziyāda yuuñ bhī ik to in āñkhoñ meñ nashsha thā balā kā us par ham ko marġhūb hai kaifiyyat-e-bāda yuuñ bhī nāma-bar us se na ahvāl hamārā kahnā vo tunuk-ḳhū hai bigaḌ jaa.e mabādā yuuñ bhī so ga.e ham bhī ki be-kār thā

Read More »

qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha

qāmat ko tere sarv sanobar nahīñ kahā jaisā bhī tū thā us se to baḌh kar nahīñ kahā us se mile to zom-e-takallum ke bāvajūd jo soch kar ga.e vahī aksar nahīñ kahā itnī muravvateñ to kahāñ dushmanoñ meñ thiiñ yāroñ ne jo kahā mire muñh par nahīñ kahā mujh sā gunāhgār sar-e-dār kah gayā

Read More »

har koi turra-e-pechaak pahan kar nikla

har koī turra-e-pechāk pahan kar niklā ek maiñ pairahan-e-ḳhāk pahan kar niklā aur phir sab ne ye dekhā ki isī maqtal se merā qātil mirī poshāk pahan kar niklā ek banda thā ki oḌhe thā ḳhudā.ī saarī ik sitāra thā ki aflāk pahan kar niklā aisī nafrat thī ki is shahr ko jab aag lagī

Read More »

nahin ki nama-baron ko talash karte hain

nahīñ ki nāma-baroñ ko talāsh karte haiñ ham apne be-ḳhabroñ ko talāsh karte haiñ mohabbatoñ kā bhī mausam hai jab guzar jaa.e sab apne apne gharoñ ko talāsh karte haiñ sunā hai kal jinheñ dastār-e-iftiḳhār milī vo aaj apne saroñ ko talāsh karte haiñ ye ishq kyā hai ki iz.hār-e-ārzū ke liye harīf nauhagaroñ ko

Read More »

nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

nauhagaroñ meñ dīda-e-tar bhī usī kā thā mujh par ye zulm bār-e-digar bhī usī kā thā dekhā mujhe to tark-e-ta.alluq ke bāvajūd vo muskurā diyā ye hunar bhī usī kā thā āñkheñ kushād-o-bast se badnām ho ga.iiñ sūraj usī kā ḳhvāb-e-sahar bhī usī kā thā ḳhanjar-dar-āstīñ hī milā jab kabhī milā vo teġh khīñchtā to

Read More »

hum to yun KHush the ki ek tar gareban mein hai

ham to yuuñ ḳhush the ki ik taar garebān meñ hai kyā ḳhabar thī ki bahār is ke bhī armān meñ hai ek zarb aur bhī ai zindagī-e-tesha-ba-dast saañs lene kī sakat ab bhī mirī jaan meñ hai maiñ tujhe kho ke bhī zinda huuñ ye dekhā tū ne kis qadar hausla haare hue insān

Read More »

pech rakhte ho bahut sahibo dastar ke bich

pech rakhte ho bahut sāhibo dastār ke biich ham ne sar girte hue dekhe haiñ bāzār ke biich bāġhbānoñ ko ajab rañj se takte haiñ gulāb gul-farosh aaj bahut jamā haiñ gulzār ke biich qātil is shahr kā jab baañT rahā thā mansab ek darvesh bhī dekhā usī darbār ke biich kaj-adāoñ kī ināyat hai

Read More »

su-e-falak na jaanib-e-mahtab dekhna

sū-e-falak na jānib-e-mahtāb dekhnā is shahr-e-dil-navāz ke ādāb dekhnā tujh ko kahāñ chhupā.eñ ki dil par giraft ho āñkhoñ ko kyā kareñ ki vahī ḳhvāb dekhnā vo mauj-e-ḳhūñ uThī hai ki dīvār-o-dar kahāñ ab ke fasīl-e-shahr ko ġharqāb dekhnā in sūratoñ ko tarsegī chashm-e-jahāñ ki aaj kamyāb haiñ to kal hameñ nāyāb dekhnā phir ḳhūn-e-ḳhalq

Read More »

tera qurb tha ki firaq tha wahi teri jalwagari rahi

tirā qurb thā ki firāq thā vahī terī jalvagarī rahī ki jo raushnī tire jism kī thī mire badan meñ bharī rahī tire shahr meñ maiñ chalā thā jab to koī bhī saath na thā mire to maiñ kis se mahv-e-kalām thā to ye kis kī ham-safarī rahī mujhe apne aap pe maan thā ki

Read More »

har aashna mein kahan KHu-e-mehrmana wo

har āshnā meñ kahāñ ḳhū-e-mehrmāna vo ki bevafā thā magar dost thā purānā vo pukārte haiñ mah-o-sāl manziloñ kī tarah lagā hai tausn-e-hastī ko tāziyāna vo hameñ bhī ġham-talabī kā nahīñ rahā yaarā tire bhī rañg nahīñ gardish-e-zamāna vo ab apnī ḳhvāhisheñ kyā kyā use rulātī haiñ ye baat ham ne kahī thī magar na

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā