tu ki anjaan hai is shahar ke aadab samajh

tū ki anjān hai is shahar ke ādāb samajh phuul ro.e to use ḳhanda-e-shādāb samajh kahīñ aa jaa.e mayassar to muqaddar terā varna āsūdgī-e-dahr ko nāyāb samajh hasrat-e-girya meñ jo aag hai ashkoñ meñ nahīñ ḳhushk āñkhoñ ko merī chashma-e-be-āb samajh mauj-e-dariyā hī ko āvāra-e-sad-shauq na kah reg-e-sāhil ko bhī lab-tishna-e-sailāb samajh ye bhī vā

Read More »

tha koi ya nahin tha jo kuchh tha

thā koī yā nahīñ thā jo kuchh thā dil ke andar kahīñ thā jo kuchh thā tū bhī apne se ḳhush-gumāñ thā bahut maiñ bhī apne ta.iiñ thā jo kuchh thā shahr-e-ḳhūbāñ meñ vo vafā-dushman ḳhūbsūrat-tarīñ thā jo kuchh thā durd-e-mai thī ki talḳhī-e-hastī jaam meñ tah-nashīñ thā jo kuchh thā chhoḌ aa.e abas dar-e-jānāñ

Read More »

us manzar-e-sada mein kai jal bandhe the

us manzar-e-sāda meñ ka.ī jaal bañdhe the jab us kā garebān khulā baal bañdhe the ai zūd-farāmosh kahāñ tū hai ki tujh se mere to shab-o-roz mah-o-sāl bañdhe the vo rashk-e-ġhazālāñ thā magar daam meñ us ke ham jaise ka.ī said-e-zabūñ-hāl bañdhe the dekhe koī nāseh kī jo hālat hai ki ham to us but

Read More »

ek bund thi lahu ki sar-e-dar to giri

ik buuñd thī lahū kī sar-e-dār to girī ye bhī bahut hai ḳhauf kī dīvār to girī kuchh muġhbachoñ kī jur.at-e-rindāna ke nisār ab ke ḳhatīb-e-shahr kī dastār to girī kuchh sar bhī kaT gire haiñ pa kohrām to machā yuuñ qātiloñ ke haath se talvār bhī girī

Read More »

shaguft-e-gul ki sada mein rang-e-chaman mein aao

shaguft-e-gul kī sadā meñ rañg-e-chaman meñ aao koī bhī rut ho bahār ke pairahan meñ aao koī safar ho tumhīñ ko manzil samajh ke jā.ūñ koī masāfat ho tum mirī hī lagan meñ aao kabhī to aisā bhī ho ki logoñ kī baat sun kar mirī taraf tum raqābatoñ kī jalan meñ aao vo jis

Read More »

tha abas tark-e-talluq ka irada yun bhi

thā abas tark-e-ta.alluq kā irāda yuuñ bhī ishq zinda nahīñ rahtā hai ziyāda yuuñ bhī ik to in āñkhoñ meñ nashsha thā balā kā us par ham ko marġhūb hai kaifiyyat-e-bāda yuuñ bhī nāma-bar us se na ahvāl hamārā kahnā vo tunuk-ḳhū hai bigaḌ jaa.e mabādā yuuñ bhī so ga.e ham bhī ki be-kār thā

Read More »

qamat ko tere sarw sanobar nahin kaha

qāmat ko tere sarv sanobar nahīñ kahā jaisā bhī tū thā us se to baḌh kar nahīñ kahā us se mile to zom-e-takallum ke bāvajūd jo soch kar ga.e vahī aksar nahīñ kahā itnī muravvateñ to kahāñ dushmanoñ meñ thiiñ yāroñ ne jo kahā mire muñh par nahīñ kahā mujh sā gunāhgār sar-e-dār kah gayā

Read More »

har koi turra-e-pechaak pahan kar nikla

har koī turra-e-pechāk pahan kar niklā ek maiñ pairahan-e-ḳhāk pahan kar niklā aur phir sab ne ye dekhā ki isī maqtal se merā qātil mirī poshāk pahan kar niklā ek banda thā ki oḌhe thā ḳhudā.ī saarī ik sitāra thā ki aflāk pahan kar niklā aisī nafrat thī ki is shahr ko jab aag lagī

Read More »

nahin ki nama-baron ko talash karte hain

nahīñ ki nāma-baroñ ko talāsh karte haiñ ham apne be-ḳhabroñ ko talāsh karte haiñ mohabbatoñ kā bhī mausam hai jab guzar jaa.e sab apne apne gharoñ ko talāsh karte haiñ sunā hai kal jinheñ dastār-e-iftiḳhār milī vo aaj apne saroñ ko talāsh karte haiñ ye ishq kyā hai ki iz.hār-e-ārzū ke liye harīf nauhagaroñ ko

Read More »

nauhagaron mein dida-e-tar bhi usi ka tha

nauhagaroñ meñ dīda-e-tar bhī usī kā thā mujh par ye zulm bār-e-digar bhī usī kā thā dekhā mujhe to tark-e-ta.alluq ke bāvajūd vo muskurā diyā ye hunar bhī usī kā thā āñkheñ kushād-o-bast se badnām ho ga.iiñ sūraj usī kā ḳhvāb-e-sahar bhī usī kā thā ḳhanjar-dar-āstīñ hī milā jab kabhī milā vo teġh khīñchtā to

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā