chaaron taraf se maut ne ghera hai zist ko

chāroñ taraf se maut ne gherā hai ziist ko aur us ke saath hukm ki ab zindagī karo bāhar galī meñ shor hai barsāt kā suno kunDī lagā ke aaj to ghar meñ paḌe raho chhoḌ aa.e kis kī chhat pe javāñ-sāl chāñd ko ḳhāmosh kis liye ho sitāro javāb do kyuuñ chalte chalte ruk

Read More »

bhul kar bhi na phir malega tu

bhuul kar bhī na phir malegā tū jāntā huuñ yahī karegā tū dekh aage muhīb khaa.ī hai lauT aa varna gir paḌegā tū dil kī taḳhtī pe naam hai terā yaañ nahīñ to kahāñ rahegā tū mere āñgan meñ ek paudā hai phuul ban ke mahak uThegā tū rāste meñ ka.ī dukāneñ haiñ har dukāñ

Read More »

bismil ke taDapne ki adaon mein nasha tha

bismil ke taḌapne kī adāoñ meñ nasha thā maiñ haath meñ talvār liye jhuum rahā thā ghūñghaT meñ mire ḳhvāb kī tābīr chhupī thī mehñdī se hathelī meñ mirā naam likhā thā lab the ki kisī pyālī ke hoñToñ pe jhuke the aur haath kahīñ gardan-e-mīnā meñ paḌā thā hammām ke ā.īne meñ shab Duub

Read More »

mujhe pasand nahin aise karobar mein hun

mujhe pasand nahīñ aise kārobār meñ huuñ ye jabr hai ki maiñ ḳhud apne iḳhtiyār meñ huuñ hudūd-e-vaqt se bāhar ajab hisār meñ huuñ maiñ ek lamha huuñ sadiyoñ ke intizār meñ huuñ abhī na kar mirī tashkīl mujh ko naam na de tire vajūd se bāhar meñ kis shumār meñ huuñ maiñ ek zarra

Read More »

ek qatra ashk ka chhalka to dariya kar diya

ek qatra ashk kā chhalkā to dariyā kar diyā ek musht-e-ḳhāk jo bikhrī to sahrā kar diyā mere TuuTe hausle ke par nikalte dekh kar us ne dīvāroñ ko apnī aur ūñchā kar diyā vārdāt-e-qalb likkhī ham ne farzī naam se aur hāthoñ-hāth us ko ḳhud hī le jā kar diyā us kī nārāzī kā

Read More »

badan par nai fasl aane lagi

badan par na.ī fasl aane lagī havā dil meñ ḳhvāhish jagāne lagī koī ḳhud-kushī kī taraf chal diyā udāsī kī mehnat Thikāne lagī jo chup-chāp rahtī thī dīvār par vo tasvīr bāteñ banāne lagī ḳhayāloñ ke tārīk khañDarāt meñ ḳhamoshī ġhazal gungunāne lagī zarā der baiThe the tanhā.ī meñ tirī yaad āñkheñ dukhāne lagī

Read More »

aashiq the shahr mein jo purane sharab ke

āshiq the shahr meñ jo purāne sharāb ke haiñ un ke dil meñ vasvase ab ehtisāb ke vo jo tumhāre haath se aa kar nikal gayā ham bhī qatīl haiñ usī ḳhāna-ḳharāb ke phūloñ kī sej par zarā ārām kyā kiyā us gul-badan pe naqsh uTh aa.e gulāb ke so.e to dil meñ ek jahāñ

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā