pahlu ke aar-par guzarta hua sa ho

pahlū ke ār-pār guzartā huā sā ho ik shaḳhs aa.ine meñ utartā huā sā ho jiitā huā sā ho kabhī martā huā sā ho ik shahr apne aap se Dartā huā sā ho saare kabīra aap hī kartā huā sā ho ilzām dūsre hī pe dhartā huā sā ho har ik nayā ḳhayāl jo Tapke

Read More »

saDkon par suraj utra

saḌkoñ par sūraj utrā saaya saaya TuuT gayā jab gul kā siina chīrā ḳhushbū kā kāñTā niklā tū kis ke kamre meñ thī maiñ tere kamre meñ thā khiḌkī ne āñkheñ kholī darvāze kā dil dhaḌkā dil kī andhī ḳhandaq meñ ḳhvāhish kā taarā TuuTā jism ke kaale jañgal meñ lazzat kā chītā lapkā phir

Read More »

har KHwab kali raat ke sanche mein Dhaal kar

har ḳhvāb kaalī raat ke sāñche meñ Dhaal kar ye kaun chhup gayā hai sitāre uchhāl kar aaise Dare hue haiñ zamāne kī chaal se ghar meñ bhī paañv rakhte haiñ ham to sambhāl kar ḳhāna-ḳharābiyoñ meñ tirā bhī pata nahīñ tujh ko bhī kyā milā hameñ ghar se nikāl kar jhulsā gayā hai kāġhzī

Read More »

aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se

ādhoñ kī taraf se kabhī paunoñ kī taraf se āvāze kase jaate haiñ baunoñ kī taraf se hairat se sabhī ḳhāk-zada dekh rahe haiñ har roz zamīñ ghaTtī hai konoñ kī taraf se āñkhoñ meñ liye phirte haiñ is dar-badarī meñ kuchh TuuTe hue ḳhvāb khilaunoñ kī taraf se phir koī asā de ki vo

Read More »

ab TuTne hi wala hai tanhai ka hisar

ab TūTne hī vaalā hai tanhā.ī kā hisār ik shaḳhs chīḳhtā hai samundar ke ār-pār āñkhoñ se raah niklī hai tahtush-shu.ūr tak rag rag meñ reñgtā hai sulagtā huā ḳhumār girte rahe nujūm añdhere kī zulf se shab bhar rahīñ ḳhamoshiyāñ sāyoñ se ham-kanār dīvār-o-dar pe ḳhushbū ke haale bikhar ga.e tanhā.ī ke farishtoñ ne

Read More »

zamin chhoD kar main kidhar jaunga

zamīñ chhoḌ kar maiñ kidhar jā.ūñgā añdheroñ ke andar utar jā.ūñgā mirī pattiyāñ saarī sūkhī huiiñ na.e mausamoñ meñ bikhar jā.ūñgā agar aa gayā aa.ina sāmne to apne hī chehre se Dar jā.ūñgā vo ik aañkh jo merī apnī bhī hai na aa.ī nazar to kidhar jā.ūñgā vo ik shaḳhs āvāz degā agar maiñ ḳhālī

Read More »

jita hai sirf tere liye kaun mar ke dekh

jiitā hai sirf tere liye kaun mar ke dekh ik roz merī jaan ye harkat bhī kar ke dekh manzil yahīñ hai aam ke peḌoñ kī chhāñv meñ ai shahsavār ghoḌe se nīche utar ke dekh TuuTe paḌe haiñ kitne ujāloñ ke ustuḳhvāñ sāya-numā añdhere ke andar utar ke dekh phūloñ kī tañg-dāmanī kā tazkira

Read More »

phaile hue hain shahr mein sae niDhaal se

phaile hue haiñ shahr meñ saa.e niDhāl se jaa.eñ kahāñ nikal ke ḳhayāloñ ke jaal se mashriq se merā rāsta maġhrib kī samt thā us kā safar junūb kī jānib shumāl se kaisā bhī talḳh zikr ho kaisī bhī tursh baat un kī samajh meñ aa.egī gul kī misāl se chup-chāp baiThe rahte haiñ kuchh

Read More »

darwaza band dekh ke mere makan ka

darvāza band dekh ke mere makān kā jhoñkā havā kā khiḌkī ke parde hilā gayā vo jān-e-nau-bahār jidhar se guzar gayā peḌoñ ne phuul pattoñ se rasta chhupā liyā us ke qarīb jaane kā anjām ye huā maiñ apne-āp se bhī bahut duur jā paḌā añgḌā.ī le rahī thī gulistāñ meñ jab bahār har phuul

Read More »

hone ko yun to shahr mein apna makan tha

hone ko yuuñ to shahr meñ apnā makān thā nafrat kā regzār magar darmiyān thā lamhe ke TūTne kī sadā sun rahā thā maiñ jhapkī jo aañkh sar pe nayā āsmān thā kahne ko haath bāñdhe khaḌe the namāz meñ pūchho to dūsrī hī taraf apnā dhyān thā allāh jaane kis pe akaḌtā thā raat

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā