shikasta suraj

shikasta sūraj ke saare TukḌoñ ko kachche dhāge se bāñdhtā huuñ ragoñ meñ petrol phailtā hai to ḳhālī jeboñ se chāñd taare nikāltā huuñ ufuq kī gardan pe paañv rakh kar maiñ jab bhī sarhad phalāñgtā huuñ hazāroñ nāḳhun ḳhalā meñ mujh ko dabochte haiñ hazāroñ nāḳhun utaar lete haiñ khaal merī hazāroñ nāḳhun mirī

Read More »

chand ke peT mein hamal machhli

chāñd ke peT meñ hamal machhlī machhlī ke muñh meñ kul vajūd-o-adam muñh se dum tak ġhubār-e-naqsh-e-qadam naqsh ke haath paañv TuuTe hue TūTne kā amal musalsal sā chāñd kā peT nā-mukammal sā

Read More »

tang tarik gali mein kutta

tañg tārīk galī meñ kuttā mailā mailā sā thartharātā chāñd bhīnī ḳhāmoshī kasmasātī huī tañg tārīk galī aur saa.e ko nochtā kuttā

Read More »

ufuq ki hatheli se suraj na ubhre

use geñd kī narm golā.ī apnī taraf khīñchtī thī vo paidā huā thā to maiñ ne hī kānoñ meñ dī thī azaañ vo laarī ke pahiyoñ kī golā.iyāñ nāpnā chāhtā thā use haspatālī farishtoñ ne stretcher se nīche utārā maiñ lamhoñ ko āñkhoñ se Tāñke lagāne meñ masrūf kursī meñ baiThā huā thā udhar pair

Read More »

shuur nili rutubaton mein ulajh gaya hai

shu.ūr niilī rutūbatoñ meñ ulajh gayā hai ḳhulūs kī uñgliyoñ ke nīche añdherā lafzoñ meñ Dhal gayā hai yahāñ sab alfāz khokhle haiñ ye khokhlā-pan muqaddaroñ se juḌā huā hai ye khokhlā-pan jise ma.ānī kī ret se bhar sake na koī muqaddaroñ se juḌā huā hai añdherā ghoḌoñ kī hinhināhaT se gūñjtā hai añdherā jis

Read More »

dard tanhai ki pasli se nikal kar aaya

dard tanhā.ī kī paslī se nikal kar aayā raat kā haath lagā aur havā TuuT ga.ī sūrajī aag meñ jhulsā gayā saayā saayā ruuh kī aañkh khulī chāñd shikasta paayā niile ākāsh ke nezoñ pe siyāhī chamkī vaqt ke jism meñ lamhoñ kī kamāneñ TūTīñ paañv meñ phāñs chubhī aañkh meñ rasta niklā dard tanhā.ī

Read More »

satwin pisli mein pili chandni

sātvīñ pislī meñ piilī chāndnī aur tāroñ kī udāsī kā jumūd tiin din kī bhuuk kā anjām kaalī muskurāhaT narm bhīnī ghaas par phailī huī parchhā.iyāñ aur guzarte vaqt kā ehsās sharmāyā huā makḌī ke jaale ke andar aaj sūraj phañs gayā

Read More »

siyah chand ke TukDon ko main chaba jaun

siyāh chāñd ke TukḌoñ ko maiñ chabā jā.ūñ safed sāyoñ ke chehroñ se tīrgī Tapke udaas raat ke bichchhū pahāḌ chaḌh jaa.eñ havā ke ziine se tanhā.iyāñ utarne lageñ sajā.e jaa.eñ chhatoñ par marī huī āñhkeñ palañg ret ke ḳhvāboñ ke saath so jaa.e kasī ke rone kī āvāz aa.e sūraj se sitāre ġhaar kī

Read More »

TuTi lazzat ki KHushbu

ġham kī kaalī chāñdnī parbatoñ kī choTiyoñ par so ga.ī hai nīche andhe ġhaar meñ ḳhvāhishoñ kī dhuup shāyad kho ga.ī hai ghaas kī bhīnī mahak ko sūñgh kar aur shabnam chaaT kar aarzū kā nīm-murda saañp zinda ho gayā hai parbatoñ par reñgtī pagDañDiyāñ bal khā rahī haiñ TūTtī lazzat kī ḳhushbū jism meñ

Read More »

raat aur din ke darmiyan koi

raat aur din ke darmiyāñ koī riiḌh kī haDDī toḌ kar niklā chāñd sūraj sitāre sayyāre bāñdh kar sab ko apne bāloñ meñ mere andar utar gayā vāpas

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā