wusat-e-daman-e-sahra dekhun

vus.at-e-dāman-e-sahrā dekhūñ apnī āvāz ko phailā dekhūñ haath meñ chāñd ko pighlā dekhūñ ḳhvāb dekhūñ ki ḳharāba dekhūñ sat.h par aks ko bahtā dekhūñ dariyā dariyā tirā saaya dekhūñ ḳhud ko dekhūñ tirā chehra dekhūñ ā.īna toḌ duuñ phir kyā dekhūñ apne saa.e ko barahna pā.ūñ saath rusvā.ī ko hañstā dekhūñ retīlī dhuup meñ aate

Read More »

dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar

duur ufuq ke paar se āvāz ke parvardigār sadiyoñ soī ḳhāmushī ko sāmne aa kar pukār jaane kin hāthoñ ne khelā raat sāhil par shikār sher kī āvāz ko tarsā kiye suune kachhār ḳhvāb ke sūkhe hue ḳhākoñ meñ lazzat kā ġhubār niiñd ke dīmak-zada gatte ke pīchhe intizār tīrgī kaise miTegī terī nusrat ke

Read More »

hath mein aaftab pighla kar

haath meñ āftāb pighlā kar raat bhar raushnī se khelā kar yuuñ khule sar na ghar se niklā kar dekh būḌhoñ kī baat maanā kar aa.ina ā.īne meñ kyā dekhe TuuT jaate haiñ ḳhvāb Takrā kar ek dam yuuñ uchhal nahīñ paḌte baat ke paiñtare bhī samjhā kar dekh Thokar bane na tārīkī koī soyā

Read More »

iblagh ke badan mein tajassus ka silsila

iblāġh ke badan meñ tajassus kā silsila TuuTā hai chashm-e-ḳhvāb meñ hairat kā aa.ina jo āsmān ban ke musallat saroñ pe thā kis ne use zamīn ke andar dhañsā diyā bikhrī haiñ piilī ret pe sūraj kī haDDiyāñ zarroñ ke intizār meñ lamhoñ kā jhūmnā ehrām TūTte haiñ kahāñ sañg-e-vaqt ke sahrā kī tishnagī meñ

Read More »

jalne lage KHala mein hawaon ke naqsh-e-pa

jalne lage ḳhalā meñ havāoñ ke naqsh-e-pā sūraj kā haath shaam kī gardan pe jā paḌā chhat par pighal ke jam ga.ī ḳhvāboñ kī chāñdnī kamre kā dard hāñpte sāyoñ ko khā gayā bistar meñ ek chāñd tarāshā thā lams ne us ne uThā ke chaa.e ke cup meñ Dubo diyā har aañkh meñ thī

Read More »

kaun tha wo KHwab ke malbus mein lipTa hua

kaun thā vo ḳhvāb ke malbūs meñ lipTā huā raat ke gumbad se Takrā kar palaT aa.ī sadā maiñ to thā bikhrā huā sāhil kī piilī ret par aur dariyā meñ thā niilā āsmāñ Duubā huā soch kī sūkhī huī shāḳhoñ se murjhā.e hue TuuT kar girte hue lafzoñ ko maiñ chuntā rahā jab bhī

Read More »

jo chiz thi kamre mein wo be-rabt paDi thi

jo chiiz thī kamre meñ vo be-rabt paḌī thī tanhā.ī-e-shab band-e-qabā khol rahī thī āvāz kī dīvār bhī chup-chāp khaḌī thī khiḌkī se jo dekhā to galī uuñgh rahī thī bāloñ ne tirā lams to mahsūs kiyā thā lekin ye ḳhabar dil ne baḌī der se dī thī hāthoñ meñ nayā chāñd paḌā haañp rahā

Read More »

sans ki aanch zara tez karo

saañs kī aañch zarā tez karo kāñch kā jism pighal jaane do laam ḳhālī hai use mat chheḌo nuun ke peT meñ nuqta dekho raat ke parde ulaTte jaao chāñd kā jism barahna bhī ho sar uThāo na kanār-e-dariyā mauj ko sar se guzar jaane do ḳhud-ba-ḳhud shāḳh lachak jā.egī phal se bharpūr to ho

Read More »

ghum raha tha ek shaKHs raat ke Khaarzar mein

ghuum rahā thā ek shaḳhs raat ke ḳhārzār meñ us kā lahū bhī mar gayā sub.h ke intizār meñ ruuh kī ḳhushk pattiyāñ shāḳh se TūTtī rahīñ aur ghaTā baras ga.ī jism ke regzār meñ rañg meñ rañg ghul ga.e aks ke shīshe dhul ga.e qaus-e-quzah pighal ga.ī bhīgī huī lagār meñ ThanDī saḌak thī

Read More »

wo barsat ki shab wo pichhla pahar

vo barsāt kī shab vo pichhlā pahar añdhere ke pahlū meñ sunsān ghar khuleñge abhī aur kis kis ke dar kahāñ ḳhatm hogā lahū kā safar kuchh apne aqā.ed bhī kamzor the larazte the saa.e bhī dīvār par ujāle simaTte rahe aañkh meñ sitāre bikharte rahe farsh par badan meñ pighaltī rahī chāñdnī lahū meñ

Read More »
Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)

Recent Poetry

Get The Latest Updates

Subscribe To Our Weekly Newsletter

No spam, notifications only about new products, updates.
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā