pipe ke gahre lambe kash khīñchtā
vo apnī barahnagī ke ehsās ko
dhuveñ kī shakl meñ
ḳhalā meñ tahlīl hote dekh kar
muskurāne kī koshish kartā thā
us kī naaf ke ās-pās
chipke hue
shikasta añdhere ke chhoTe chhoTe TukḌe
meñDak kī ā.ankhoñ meñ
mare hue ḳhvāboñ kī sīlan meñ
Duub rahe the
vo
mujh ko
”gautam” ke naam se yaad kiyā jaa.e
aisā
dīvāroñ par reñgtī
chiyūñTiyoñ se
baar baar kah rahā thā