ai mere watan ke KHush-nawao

Share on facebook
Facebook
Share on twitter
Twitter
Share on linkedin
LinkedIn

ik umr ke ba.ad tum mile ho

ai mere vatan ke ḳhush-navāo

har hijr kā din thā hashr kā din

dozaḳh the firāq ke alaao

ro.uuñ ki hañsūñ samajh na aa.e

hāthoñ meñ haiñ phuul dil meñ ghaao

tum aa.e to saath hī tumhāre

bichhḌe hue yaar yaad aa.e

ik zaḳhm pe tum ne haath rakkhā

aur mujh ko hazār yaad aa.e

vo saare rafīq pā-ba-jaulāñ

sab kushta-e-dār yaad aa.e

ham sab kā hai ek hī qabīla

ik dasht ke saare ham-safar haiñ

kuchh vo haiñ jo dūsroñ kī ḳhātir

āshufta-nasīb o dar-ba-dar haiñ

kuchh vo haiñ jo ḳhil.at-o-qabā se

aivān-e-shahī meñ mo’tabar haiñ

suqrāt o masīh ke fasāne

tum bhī to bahut sunā rahe the

mansūr o husain se aqīdat

tum bhī to bahut jatā rahe the

kahte the sadāqateñ amar haiñ

auroñ ko yahī batā rahe the

aur ab jo haiñ jā-ba-jā salībeñ

tum bāñsuriyāñ bajā rahe ho

aur ab jo hai karbalā kā naqsha

tum mad.h-e-yazīd gā rahe ho

jab sach tah-e-teġh ho rahā hai

tum sach se nazar churā rahe ho

jī chāhtā hai ki tum se pūchhūñ

kyā raaz is ijtināb meñ hai

tum itne kaThor to nahīñ the

ye be-hisī kisī hisāb meñ hai

tum chup ho to kis tarah se chup ho

jab ḳhalq-e-ḳhudā azaab meñ hai

socho to tumheñ milā bhī kyā hai

ik luqma-e-tar qalam kī qīmat

ġhairat ko faroḳht karne vaalo

ik kāsa-e-zar qalam kī qīmat

pindār ke tājiro batāo

darbān kā dar qalam kī qīmat

nādāñ to nahīñ ho tum ki samjhūñ

ġhaflat se ye zahr gholte ho

thāme hue maslahat kī mīzān

har sher kā vazn taulte ho

aise meñ sukūt, chashm-poshī

aisā hai ki jhuuT bolte ho

ik umr se adl o sidq kī laash

ġhāsib kī salīb par jaḌī hai

is vaqt bhī tum ġhazal-sarā ho

jab zulm kī har ghaḌī kaḌī hai

jañgal pe lapak rahe haiñ shole

tā.ūs ko raqs kī paḌī hai

hai sab ko aziiz kū-e-jānāñ

is raah meñ sab jiye mare haiñ

haañ merī bayāz-e-sher meñ bhī

barbādi-e-dil ke marsiye haiñ

maiñ ne bhī kiyā hai TuuT kar ishq

aur ek nahīñ ka.ī kiye haiñ

lekin ġham-e-āshiqī nahīñ hai

aisā jo subuk-sarī sikhā.e

ye ġham to vo ḳhush-ma.āl ġham hai

jo koh se jū-e-shīr laa.e

teshe kā hunar qalam ko baḳhshe

jo qais ko kohkan banā.e

ai hīla-garān-e-shahr-e-shīrīñ

aayā huuñ pahāḌ kaaT kar maiñ

hai be-vatanī gavāh merī

har-chand phirā huuñ dar-ba-dar maiñ

bechā na ġhurūr-e-nai-navāzī

aisā bhī na thā subuk hunar meñ

tum bhī kabhī ham-navā the mere

phir aaj tumheñ ye kyā huā hai

miTTī ke vaqār ko na becho

ye ahd-e-sitam jihād kā hai

daryūza-garī ke maqbaroñ se

zindāñ kī fasīl ḳhushnumā hai

kab ek hī rut rahī hamesha

ye zulm kī fasl bhī kaTegī

jab harf kahegā qum-be-iznī

martī huī ḳhaak jī uThegī

lailā-e-vatan ke pairahan meñ

bārūd kī bū nahīñ rahegī

phir bāñdheñge abruoñ ke dohe

phir mad.h-e-ruḳh-o-dahan kaheñge

Thahrā.eñge un laboñ ko matlā

jānāñ ke liye suḳhan kaheñge

afsāna-e-yār o qissa-e-dil

phir anjuman anjuman kaheñge

Poets
  • ADIL MANSURI116 Post(s)
  • AHMAD FARAZ337 Post(s)
  • Ahmad Nadeem Qasmi82 Post(s)
  • Allama Iqbal494 Post(s)
  • Mirza ghalib52 Post(s)
English Poets
  • Emily Angel31 Post(s)
  • Emily Dean13 Post(s)
  • Emily Huntington Miller7 Post(s)
  • Emily Knight13 Post(s)
  • Emily Liang26 Post(s)
  • Emily Wilson17 Post(s)
  • Robert Frost191 Post(s)
  • Rumi148 Post(s)
  • William Shakespeare376 Post(s)
On Trend

Popular Poetry

tazmin

ġham tumhārā thā zindagī goyā tum ko khoyā use nahīñ khoyā fart-e-girya se jī na halkā ho bas yahī soch kar nahīñ royā ashk to ashk haiñ sharāb se bhī maiñ ne ye dāġh-e-dil nahīñ dhoyā maiñ vo kisht-e-nashāt kyoñ kāTūñ jis ko maiñ ne kabhī nahīñ boyā aabla aabla thī jaañ phir bhī bār-e-hastī

safed chhaDiyan

janam kā andhā jo soch aur sach ke rāstoñ par kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe ye shāhrāh-e-hayat jis par hazār-hā qāfile ravāñ haiñ sabhī kī āñkheñ har ek kā dil sabhī ke raste sabhī kī manzil isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ tamām chehroñ kī dāstāñ meñ na naam merā na zaat

diwar-e-girya

vo kaisā shobada-gar thā jo masnūī sitāroñ aur naqlī sūrajoñ kī ik jhalak dikhlā ke mere saada dil logoñ kī āñkhoñ ke diye hoñToñ ke jugnū le gayā aur ab ye aalam hai ki mere shahr kā har ik makāñ ik ġhaar kī mānind mahrūm-e-navā hai aur hañstā boltā har shaḳhs ik dīvār-e-girya hai

mujassama

ai siyah-fām hasīna tirā uryāñ paikar kitnī pathrā.ī huī āñkhoñ meñ ġhaltīda hai jaane kis daur-e-alama-nāk se le kar ab tak tū kaḌe vaqt ke zindānoñ meñ ḳhvābīda hai tere sab rañg hayūle ke ye be-jān nuqūsh jaise marbūt ḳhayālāt ke tāne-bāne ye tirī sāñvlī rañgat ye pareshān ḳhutūt bārhā jaise miTāyā ho inheñ duniyā

%d bloggers like this: