abhī ham ḳhūb-sūrat haiñ
hamāre jism aurāq-e-ḳhizānī ho ga.e haiñ
aur ridā-e-zaḳhm se ārāsta haiñ
phir bhī dekho to
hamārī ḳhush-numā.ī par koī harf
aur kashīda-qāmtī meñ ḳham nahīñ aayā
hamāre hoñT zahrīlī rutoñ se kāsnī haiñ
aur chehre ratjagoñ kī sho.alagī se
ābnūsī ho chuke haiñ
aur zaḳhmī ḳhvāb
nādīda jazīroñ kī zamīñ par
is tarah bikhre paḌe haiñ
jis tarah tūfāñ-zada kashtī ke TukḌoñ ko
samundar sāhiloñ par pheñk detā hai
lahū kī bārisheñ
yā ḳhud-kushī kī ḳhvāhisheñ thiiñ
is aziyyat ke safar meñ
kaun sā mausam nahīñ aayā
magar āñkhoñ meñ nam
lahje meñ sam
hoñToñ pe koī naġhma-e-mātam nahīñ aayā
abhī tak dil hamāre
ḳhanda-e-tiflāñ kī sūrat be-kudūrat haiñ
abhī ham ḳhūb-sūrat haiñ
zamāne ho ga.e
ham kū-e-jānāñ chhoḌ aa.e the
magar ab bhī
bahut se āshnā nā-āshnā hamdam
aur un kī yaad ke mānūs qāsid
aur un kī chāhatoñ ke hijr-nāme
duur desoñ se hamārī or aate haiñ
gulābī mausamoñ kī dhuup
jab naurasta sabze par qadam rakhtī huī
ma.mūra-e-tan meñ dar aatī hai
tū barfānī badan meñ
jū-e-ḳhūñ āhistagī se gungunātī hai
udāsī kā parinda
chup ke jañgal meñ
sar-e-shāḳh-e-nihāl-e-ġham chahaktā hai
koī bhūlā huā bisrā huā dukh
aabla bin kar Tapaktā hai
to yuuñ lagtā hai
jaise harf apne
zinda āvāzoñ kī sūrat haiñ
abhī ham ḳhūb-sūrat haiñ
hamārī ḳhush-numā.ī harf-e-haq kī rū-numā.ī hai
usī ḳhātir to ham āshufta-jāñ
ushshāq kī yādoñ meñ rahte haiñ
ki jo un par guzartī hai vo kahte haiñ
hamārī harf-sāzī
ab bhī mahbūb-e-jahāñ hai
shā.erī shorīd-gān-e-ishq ke vird-e-zabāñ hai
aur gulāboñ kī tarah shādāñ chehre
la.al o marjāñ kī tarah lab
sandalīñ hāthoñ se
chāhat aur aqīdat kī bayāzoñ par
hamāre naam likhte haiñ
sabhī dard-āshnā
īsār mashrab
ham-nafas ahl-e-qafas
jab maqtaloñ kī samt jaate haiñ
hamāre bait gaate haiñ
abhī tak naaz karte haiñ sab ahl-e-qāfila
apne hudī-ḳhvānoñ par āshufta-kalāmoñ par
abhī ham dastaḳhat karte haiñ apne qatl-nāmoñ par
abhī ham āsmānoñ kī amānat
aur zamīnoñ kī zarūrat haiñ
abhī ham ḳhūb-sūrat haiñ