raat ke āḳhirī hisse kī siyāhī gahrī
haath ko haath sujhā.ī nahīñ detā phir bhī
ḳhvāb meñ lipTe hue andeshe
niiñd ke ġhaar meñ jaagī āñkheñ
gahrī gahrā.ī meñ dhīre se utartā paanī
sahmā sahmā huā Dartā paanī
paanī yaḳh-basta vazū kā paanī
aur ḳhushbū ke musalle pe koī sar-ba-sujūd
ḳhud-kalāmī kī ghaḌī
kapkapāte hue hoñToñ pe thiraktā huā naam
ek ik lamhe kī āñkhoñ meñ namī
haath uThte haiñ ḳhalāoñ meñ duā dāman-gīr
arsh ke nīche se chalte haiñ havā ke jhoñke
āsmānoñ meñ ayaañ haibat-e-sub.h-e-kāzib
nuur kī pahlī kiran phūTe ufuq se -āmīn