ai āftāb rūh-o-ravān-e-jahāñ hai tū
shīrāza-band daftar-e-kaun-o-makāñ hai tū
baa.is hai tū vajūd-o-adam kī numūd kā
hai sabz tere dam se chaman hast-o-būd kā
qaa.em ye unsuroñ kā tamāshā tujhī se hai
har shai meñ zindagī kā taqāzā tujhī se hai
har shai ko terī jalva-garī se sabāt hai
terā ye soz-o-sāz sarāpā hayāt hai
vo āftāb jis se zamāne meñ nuur hai
dil hai ḳhirad hai rūh-e-ravāñ hai shu.ūr hai
a āftāb ham ko ziyā-e-shu.ūr de
chashm-e-ḳhirad ko apnī tajallī se nuur de
hai mahfil-e-vajūd kā sāmāñ-tarāz to
yazdān-e-sākinān-e-nasheb-o-farāz tū
terā kamāl-e-hastī har jān-dār meñ
terī numūd silsila-e-kohsār meñ
har chiiz kī hayāt kā parvardigār tū
zā.īdgān-e-nūr kā hai tājdār tū
nai ibtidā koī na koī intihā tirī
āzād qaid-e-avval-o-āḳhir ziyā tirī